Abhi Technology ka pick time chal raha hai, jyada din nohi hai, jab sabhi ke haath mein mobile phone ke jagah Smart Glass dekhne ko milega.
Google Smart Glasses Kiya Hai?
Ye Smart Glass duniya mein ek bada kadam Mana gaya hai, Augmented Reality (AR) ka. Dekhne mein ye sadharan Glass jeise dekhte hai, par issme kaafi unnat technic chupa huwa hai, joh Real World mein Visuals jaankaari pradaan karenge. Jise pehankar koi bhi person dusre person ka Information dekh sakte hai. Jeise maano koi ise use karke, kisi bhi person ka naam, ya anyo jankaari prapti kar sakta hai, Koi bhi Signboard ke Text ko real time mein Translation karke dikha sakte hai, Navigation aakho ke samne dikh sakta hai.
Google AR Glasses ki Kuch Khas Baatein
- AR Glass mein lagi huwi button ko dabake ya command dekar photos/Videos le sakte hai.
- Signboard ya Koi bhi Document ka Text ko padhkar aakhon ke samne dikhana.
- Raste mein chalte ya gari chalate samay aakhon ke samne Navigation ko dekhana.
- Google Assistant ke jariye Voice command dekar apna anusaar control karna.
- Real time Translation ke jariye kisi bhi bhasa ya sabdo ko aakho ke samne turant dikhana.
Google AR Glasses ki Itihaash
2012-13 mein Pehli baar Explore Addition mein nikala gaya tha. 2015 mein Design aur User Privacy ke karan iss Glass ko bandh karna pada. Duniya ko pehli baar 2022 mein Google AR Glass ka demo dikhaya gaya tha real time Translation feature ke saath. Abhi bhi Puri tarike se ye Glass bankar ready nohi hai, 2025 mein abhi iske beta version par kaam chal raha hai. 2026-27 mein ye product sabke haath mein aa sakta hai.
Ye kaam Google ke alawa anyo Company jeise Apple, Meta, Xiaomi adi bhi protiyogi banke kaam kar raha hai. Ye jaankaari keisa laga Comment karke jorur batana. Taaki humbhi appke rai jaan sake.
Google Smart Glasses Future ke liye phone se bhi jyada jankaari purno bana sakte hein, Ye khaskar Translation, Comunication, Navigation aur Travelling mein kranti laa sakte hai.